Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha
Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha
Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha
Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha
Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door boht Chand k Haalon ki tarha tha
0 Response to "Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha"
Post a Comment