Menu

Wednesday, 30 January 2013

Tumhein waapis bulaati hain Hum apne aap ko




Tumhein waapis bulaati hain
Hum apne aap ko
Patthar anaa ke khauf se
Jitna bazaahir pur-sukoon rehne ke aadat daal lain
Per hijer ki bechain yakh basta hawa se
Raakh mein dhalti tamannayain bhi
Aakhir kap'kapaati hain
Sadaayain lar'kharaati hain
Tumhein maloom tu hoga
Ke katchi umer ki chaahat
Hazaroon saal bhi dil se kisi ghehre samundar mein 
Rahay paband per
Phir bhi kabhi marti nahee
Mein ne bahut arsa tumhein
Yaadoon, khayaloon aur khwaboon ki 
Nigahoon se kiya oujhal
Magar janaan ... !
Mein apne aap se ab larte larte thak gaya hoon
Aur
Akele pan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
Tu muddat se thaki haari wafaayain
Saug mein doobe huwe kuch geet gaati hain
Tumhein waapis bulaati hain...

No comments:

Post a Comment